trends

"Pray and Trust in Allah"

Friday, 23 September 2016

Studying English In An English Speaking Country :


English is used as an international language for communication and to develop interations among people from various countries. Now it became a major source of transferring data,relationship development and business promotion. Obviously, to learn English is now an important part of study since it is spoken and understood by the people of every region of the entire world. Therefore, in orderto explore in the world market it is essential to learn and speak flawless English.
Most of the people belong to non-english speaking country usually feel difficulties during their learning time as they are not very much familiar with the proper way of writing, speaking or listening. Moreover, they have a complain that they donot get particular atmosphere for practicing. Due to that reason they intend to more on to an English speaking country to improve their language skills in a better way. Undoubtedly, atmosphere puts a great impact on the human behavior. In addition, Student gets an opportunity to live in English speaking culture, teachers are native and daily practice with the English speakers. The best and the positive thing with the learner is to pronounce the word correctly. By living with the native people and by the frequent interation with them makes the student more perfect than ever before.

There is no doubt learning English with the English culture leads the learnersto enhance their capabilities and they get more perfection But, on the contrary it requires a big sacrifice and firm determination from the learner as to live the English nature country one has to leave their home land and migrate to another country.

Saturday, 17 September 2016

Zuban aur hamari ehmiyat

Zuban insan kay jazbat kay izhar ka zariyae hai jiskay alfaz kisi ko apny dil mai utar bhe saktay hai aur dil sy utar bhe sakty hain .. kisi bhe qoum ki pehchan uski zuban uski sakhafat , usky libas sy hoti hai.. par zuban ek aisa zariyae hai jo insan ki shakhisiyat ki pechan karta hai..
Hazrat Ali ka qoul hai insan apni zuban sy pechana jata hai .. yani uski guftagu uska lehja uski tameez uski tahzeeb batati hai.. par agr usy uski zuban he cheen li jai to uski pechan aur  uska wajud duniya main kisi kaam ka nhe rehta.. bas yahe hal kuch humri urdu zuban ka horha hai.. jaisy urdu bolnay wala us insan ki tarah hai jisko logo nay band kamray mai qaid krdia ho aur wo ghulami ki zanjeero mai jakar lia gaya ho.. yahan zanjeeray angraizi ki alfaz hai aur band kamra un logo ki manind hai jo apni pechan yani urdu zuban ko bhula kr angaraizi  zuban apni sakhafat mai laa rahay hai.. 1947 mai Pakistan azad to hua tha pr abhi bhe kuch log angarzi k ghulam hain.. agraizi international language hai usko bolna seekhna achi baat hai pr apni zuban apni pechan ko bhula dyna aur dusray ki pehchan ko apna laina us sharbat kay glass  ki tarah hai jis main  kahinn tarah k rang shamil krlie jai aur uski apni pechan naa ho.. balkay dusro ki sakhafat ko mila lia gaya ho..
  Urdu hamari qoumi zuban hai lakin ab nai nasal is zuban sy nawaqif hai q k ab schools main teachers aur ghar main waldain yeah chahty hain k bachy sirf angraizi sikhain samjhain aur bolain...nai nasal ko urdu zuban sy dor kia  ja rha hai.
Angraizi sikhana achi baat hai k yeh agy zindagi main bachy k kaam aye gi k usy ban-ul-aqwami satha pr raabty main asani rehy gi...lakin aj kal k waldain bachpan sy hi apny bachn ko sirf angraizi hi sikha rhy hain woh yeh q bhool jaty hain k kam-umari  main bachn ka dimagh bohat acha hota hai agr us waqt unhy 7 zubanain b sikha di jain tou bacha us waqt ka sikha zindagi barh yaad rkhta hai.
 Waldain bary fakhar k saath bata rhy hoty hain k hamara bacha tou sirf angraizi bolta aur samjhta hai ...woh yeh ni sochty k aj bacha angraizi bol rha hai tou kal woh angraizn ki shakafat hi apnana chahy ga... jb zuban hi ni apni sikhai tou shakafat bachy q kr sikhna chahain gy.
 Quaid e azam ny Pakistan is liye bnaya tha k muslmanon k pass apna aik alag azad mulk ho jahn woh apni islami shakhafatn pr azadi k saath amal kr sakhain .
 Hamary tou wazir e azam sahib hi ban-ul-aqwami conferences main tooti pohti angraizi main kitaab kr k fakhar mehsoos krty hain jb k hm sirf agr  apny parhosi mulk China ko dekhn ziyada dor na jain ... k wahan sirf Chinese zuban ko ehmiyat di jati hai jis ki missal haal main hi milti hai k..China k wazir-e-azam ny ban-ul-aqwami conference main apni Chinese zuban main khitab kia jb sawal kia gya k ap NY angraizi main kitaab q ni kia tou unhny kia khoob jawab dia k duniya yeah na samjhy k China gounga hai balky China ki apni aik alaag pehchan apni aik zuban hai ... Afsoos k hamari tou sarkari satha pr b urdu ki koi ehmiyat ni .
Main angraizi k khilaaf ni lakin is chiz k khilaaf hn k agr koi  tooti poohti angraizi boly tou hm usy bohat izzat dyty hain aur urdu koi jitni b achi bol ly hm uski utni izzat ni krty... Agr hm hi apni zuban ki izzat ni karain gy tou dosry hmari izzat q kr karain gy?

Thursday, 15 September 2016

Qurbani aik farz magar.....

Qurbani ka hukm Allah  ny sb sy phely Hazrat Ibrahim a.s ko diya k apni sb sy piyari aur aziz tareen shyh ko Allah ki rah main qurban karain. Us k baad hi Allah ny qurbani ko tamam muslmanon pr eid ul azha k din farz kia.
Pakistan main eid-ul-azha bohat josh-o-jazby k saath manai jati hai log bary pymany pr qurbani krty hain. Lakin ab afsoos ki baat yeh hai k hmary mashry main muqabla (competition) din ba din barhta ja rha hai. Hr aik ki yeah kosish hoti hai k woh sb sy acha aur mehnga janwar laye . Isi hawas main woh apny aas pass k garib logn ko nazr andaz kr jaty hain garib k ghr chahy faqy ho rhy hon ya koi aur masla ho. Mehngi qurbani krna buri baat ni lakin is dekhawy  aur apas  k muqably  main garibn ko na bhoolain .
Chori dakyti ki ab nai qism b dekhny main ai hai k janwar mandi main jany sy phely hi rasty main pury  trucks chori ho jaty hain . Yeah tou wohi baat ho gai k mehnat koi kary aur phal koi aur khaye. Biopari itni mehnat sy janwar ki dekh bhaal krty hain apna waqt aur paisy lagaty hain aur chor minton main ura ly jaty hain.
Eid-ul-azha main chori ka yeh silsila yehi khatam ni hota balky jo log mandi sy janwar qurbani k liye kharidty hain ya tou rasty main un sy b janwar chehn liye jaty hain ya phir biopari un sy dhooka kr jaty hain jiska khaidar ko andaza bd main hota hai najaiz tareeqy istimal kr k janwar ka wazan barhaya jata hai ta k woh bhari bharkam nazar aye mgr yeh tareeqa b kuch dair ka he hota hai  beopari mehnga khana wagaira khilany ka dawa kar k mehngy daam janwar farookht krty hain .
Waqt k saath saath ab hm  qurbani k asal maqsad aur matlab ko faramosh krty ja rhy hain . Asal qurbani wohi qubool hoti hai jo k naik neyati aur sirf Allah k liye ki jaye na k dikhawy k liye ki jaye .

Tuesday, 13 September 2016

قربانی








Apni aziz cheez ko smbhal kr rakhnay ka hunur to sabko ata hai us say mohabbat karna daikh bhaal karna sab ko ata hai par ussay dusro ki khushi ki khatir Qurban kardaina kisi kisi ko  ata hai   zindagi main bht say aisy morr atay hain jab insan ko apni sab sy khubsurat dil aziz cheez ki qurbani daina parti hai par har kisi main itni himmta itni taqqat nhe hoti kay wo qurban karday har kisi main itni salahiyat nhe hoti k wo zindagi bhar chahany wali cheez ko qurban krdain.. Allah nay jab Hazrat Ibrahim a.s say unkay beitay Hazrat Ismail a.s ki Qurbani Mangi to Hazrat Ibrahim a.s apny khoon apni olad ko Allah ki rah main Qurban karnay ko taiyar hogae aur ankhon par patti band kr Jab Hazrat ismail a.s par churri phirnay lagay Allah ko unki yah baat itni pasand ai kay Hazrat Ismail a.s ki jaga Dombah agaya Yah waqaiya itna khubsurat hai kay yah naa sirf humain har saal Sunnat e Ibrahimi ada  kar k uski yaad daiyta hai balkay yah hum main Qurbani ka jazba bhe paida karta hai kay hum kis kis tarah sy apni khuwaisht apni cheezo ki Qurbani day saktay hain humain aksar apni zindagi mai Qurbani dainay walay loug dekhai nh daytay kyun k unki pardah poshi hoti hai yah phir aksar Qurbani humri nazaro k samnay hoti hai par humain uska ehsas nhe hota Lakin ab Hum un Qurbani ka zikar kartay hain jo aam dino mai humaray lie humaray apnay daytay hain.  Hum un rishto ki baat kartay hain jo saara saal kahin naa kahin kisi naa kisi morr pr akar humray lie apni har cheez Qurban karny ko taiyar hujatay hain.  Uski shuruwat sab say  khubsurat aur afzal rishtay say kartay hain kehtay hain agr jannat dekhni ho to uskay Qadmon ko dekh lo Maa  yah wo rishta hai jiska ko naimulbadal nahe. Us jaisi mohabbat duniya k kisi konay mai dhoondny sy bhe nh milti "Main  tmhain satar maaon say ziada chahany wala honb" Maa ki ahmiyat ka andaza is baat sy bhe kia jaskta hai k Allah nay kisi bhe rishtay ki mohabbat ka zikar nhe sirf Maa ki mohabbat ko mukhatib kia jab yah Maa Qurbani dainay par ati hai to duniya kay saray rishto ki Qurbani usk agay pheenki par jati hai Bacho ki khuwaishat k agay apni khuwaisht ko Qurban kardayti hai ek waqt khud bhooki so jati hai par apny bacho ko bhooka nhe sonay dayti Beiti ki shadi ho to apna zeewar bech dayti hai mgr usy khali hath janay nh dayti koi dard koi takleef koi mushkil hu to uska zikar kisi sy nhe karti khud hi jhalti rehti hai par bachay ko takleef ho to Maa kahin kahin raaton ko jag kar uski dekh bhaal karti hai wahin dusri taraf maa borhi hujai to bachay usy old home bejh dain tab bhe unhe lambi umer ki duai dayti hai par thakti nhe lakin ek waqt zarore ata hai jab thaak kr mout ki aghosh mai humesha k lie so jati hai sari zindagi Qurbani daytay daytay Khud Qurban hojati hai. Par uski qurbani har kisi ko yaad nh rehti
"Baap "yah wo rishta hai jo ek bar khud achay kapray nhe pehanta pr apni olad ko achay kapro main dekhna pasand karta hai. Khud sari umer do kurta shalwar aur patti hui jeans mai guzar dayta hai par apni olad kay pattay hui jootay isko raat ki nend sukoon sy sonay nhe daytay buson main dhaaka khaata baap ek bar khud shehar shehar nhe ghoomta pr apni olad ko achi taleem  aur nokari k liya dusray mulk janay k lie paisa jama karta khud dhoop mai paidal safar karlaiyta hai par apni olad k lie saaya ban jata hai par olaad kabhi kabhi is baap ki qadaroqeemat ka andaza he nh laga pati wo uski chappi hui qurbani ko dekh he nh paati woh baap ko aksar noton( paisa) ki machine smjhti hai is haqiqat sy bekhabar kay usnay apni kahin khuwaishat ko apni olad ki khuwaishat pr qurban kardia.
Beiti jo rehmat hai jo ghr ki ronaq kehlati hai maabaap k ghr mai iska basera kuch saalon ka he hota hai phir churiya ki tarah urh kar apna ashina sunsaan kr k chali jati hai yah beiti rehmat to hoti hai par iski izzat ghr ki izzat keh lati hai isk sar par chadar ghr ki chatt kehlati hai yah beiti aksar apny maabaap ki khuwaisht par khud ko qurban kardyti hai jiska pata sirf usay khud hi hota hai koi iski qurbani ko smjh nahi sakta yah kbhi apni pasand mohabbat ko maabaap ki pasand par qurban kardyti hai to kbhi Susral main dard jhelti rehti hai lakin mau sy awaz tak nhe nikalti khamoshi sy takleef pareshani jhelti rehti hai lakin maabaap sy shikwa nh karti k kahin unhe takleef naa pouchnay.
"Beita " jisy naimat kehtay hain jo wo ghr aur baap ka sahara banay dusray mulk chala jata hai. Pardais main tanha zindgi guzarta hai maa k hath ka khana khanay wala zindagi ki sakhtiyon sy khud khana banana seekh jata hai behan ko bat bat pr chirnay wala doston k sath dair tak bahar rehnay pr baap ki dant khanay wala beita bhai tanhai main saray tehwaar guzarta hai
Har insan apni apni jaga koi na koi Qurbani dayta hai chahay wo choti ho yah bari par har kisi ki nazar us qurbani ko dekh nahe sakti kabi dost kisi dost k lie qurbani dayta hai to koi bhai apni behan k lie to kabhi behan apnay chotay behan bhaiyon k lie.
Hum agr rishton k elawa un jazbat un cheezon ki baat ki jai to insan mai paae jati hain jinka wajood nazar nhe ata jinka naam to hai par wo dekhai nhe daytin wo sirf ehsas kay jazbay sy mehsos ki jati hain jinhe hum aksar Qurban karna apni toheen smjhtay hai  "aana nafrat bughz hasad jalan gussa "yah wo ehsasat hai jinhe hum aksar apny dil o dimgh mai paal kr rakhtay hain aur unki Qurbani daina apni toheen smjhtay hain lakin agr inki Qurbani naa di jai to yah insan ko kbhi chain sy jeenay nhe daytay aur usy tanha kardaytay hain Qurbani Sirf un cheezon ki nhe di jati jo sirf duniya ko dekhai day Qurbani un cheezon ki bhe di jati hai jo sirf khud Insan aur Allah ko malom hu. Allah ki rah main un tamam khuwaisht ko Qurban kardaina jo Insan aur usk Rab k beech main rukawat ho woh Qurbani insan k Nafs ki hoti hai jo aksar insan qabo nhe kar pata .sabsy bara jihad apny Nafs say karnay ko kaha gaya hai jab insan  apny Nafs ko Qabo main rakhna seekh jata hai burai aur un buri cheezon gunnaho say khud ko durr rakhna ki kohsish karnay lagta hai jisy Allah napasand karta hai to wo Allah k nazdeek sabsy bara jihad kehlata hai.  Insan smjhta hai wo Qubani to day raha hai pr usy kuch hasil nhe ho raha agr is baat ko dekhna ho k kuch hasil ho raha hai yah nahi to apny Dil main sukoon kay chirag par ek nazar daal kr dekh laina agr apny dil ko besukoon pao to smjh jana tmhray chiraag ki roshni kamzor par rahi hai jiski waja chiraag mai dalay jana wala wo tail(oil) hai jo theek nahi wo tail darasaal tmhra emaan hai agr tmhra emaan kamzor hoga to tmhe kbhi sukoon hasil nhe hoskta lakin tmhri rooh mai bechaini naa pai jai tmhry dil ko yah itminan ho k tmnay jo bhe kia apny Rab k lie apny garz mtlb k lie nahi to tm apny chiraag ki roshni ko buland aur taiz paao gaye jo tmhray dil ko humesha roshan rakhaygi aur dusro k bhe andheray main kàm aigi aur unhe munawar karegi.. Allah talah kisi ki Qurbani ko zaya nhe janay dayta par neeyat achi aur saaf hona chahye bilkul jaisay Hazrat Ibrahim a.s ka apny beitay Hazrat Ismail a.s ki  qurbani ki neeyat ka sila dia waisy he Allah har us shakhs ko uski Qurbani ka sila dayta hai jo usnay Rehman ki khushi aur Rehman k bando k lie di.


Monday, 12 September 2016

Way to go Lolywood

After the first step for the revival of Pakistani cinemas, and huge success of our very own earlier block buster movies which includes Bin roye, Na maloom afrad, Jawani phir nhe ani and other movies of 2014 and 2015 Pakistan film industry is again ready to takeover the cinemas all around the world. This time the makers of Na Malom Afraid again did a brilliant job by giving us Actor in Law starring Fahad Mustafa, Mehwish Hayat and Om Puri, another great effort to bring the lolywood forward is "Janaan" this is family oriented movie have very talented Bilal Ashraf, Hareem Faroque, Ali Rehman Khan, Armeena Rana Khan and a young and new talent Hania Amir, this is not the last we also have "Zindagi Kitni Haseen H" in our list releasing on this Eid-ul-Azha our very talented Sajjal Ali and heart throb Feroze Khan is playing lead role in this movie. People all over the world specially in Pakistan is waiting anxiously for all these movies.
The effort which all the producers, directors and media organization is doing to make lolywood one of the World's leading film industry is very impressive. Our prayers is with every Pakistani movie.

Thursday, 8 September 2016

E-Gadget Addiction

With the passage of time the world is globalizing so fast and people can know what is going on around the world by staying home. Different technologies, traditions and cultures are effecting due to the internet. This is why the world is now called "Global Village". 
World is globalized due to the portable E-gadgets which can be brought anywhere from one place to another. Even younger ones have these gadgets, due to which all the new games, movies, songs and the things they want to know are on their finger tips which makes them E-gadget addict. Even we see these youngster using their mobile phones and tablets all day also they put them under their pillows while sleeping  which is very harmful for their health. Addiction of these gadgets made a distance between the young ones and their family also it left them unaware of what our nature have for them. This addiction also spoiling our generation by giving them much knowledge which they should not know.
Addiction of  E-Gadget should be limited so that our youngsters give more attention on their studies instead of using these all day.