trends

"Pray and Trust in Allah"

Thursday, 15 September 2016

Qurbani aik farz magar.....

Qurbani ka hukm Allah  ny sb sy phely Hazrat Ibrahim a.s ko diya k apni sb sy piyari aur aziz tareen shyh ko Allah ki rah main qurban karain. Us k baad hi Allah ny qurbani ko tamam muslmanon pr eid ul azha k din farz kia.
Pakistan main eid-ul-azha bohat josh-o-jazby k saath manai jati hai log bary pymany pr qurbani krty hain. Lakin ab afsoos ki baat yeh hai k hmary mashry main muqabla (competition) din ba din barhta ja rha hai. Hr aik ki yeah kosish hoti hai k woh sb sy acha aur mehnga janwar laye . Isi hawas main woh apny aas pass k garib logn ko nazr andaz kr jaty hain garib k ghr chahy faqy ho rhy hon ya koi aur masla ho. Mehngi qurbani krna buri baat ni lakin is dekhawy  aur apas  k muqably  main garibn ko na bhoolain .
Chori dakyti ki ab nai qism b dekhny main ai hai k janwar mandi main jany sy phely hi rasty main pury  trucks chori ho jaty hain . Yeah tou wohi baat ho gai k mehnat koi kary aur phal koi aur khaye. Biopari itni mehnat sy janwar ki dekh bhaal krty hain apna waqt aur paisy lagaty hain aur chor minton main ura ly jaty hain.
Eid-ul-azha main chori ka yeh silsila yehi khatam ni hota balky jo log mandi sy janwar qurbani k liye kharidty hain ya tou rasty main un sy b janwar chehn liye jaty hain ya phir biopari un sy dhooka kr jaty hain jiska khaidar ko andaza bd main hota hai najaiz tareeqy istimal kr k janwar ka wazan barhaya jata hai ta k woh bhari bharkam nazar aye mgr yeh tareeqa b kuch dair ka he hota hai  beopari mehnga khana wagaira khilany ka dawa kar k mehngy daam janwar farookht krty hain .
Waqt k saath saath ab hm  qurbani k asal maqsad aur matlab ko faramosh krty ja rhy hain . Asal qurbani wohi qubool hoti hai jo k naik neyati aur sirf Allah k liye ki jaye na k dikhawy k liye ki jaye .

9 comments: