Aj kay dur main social media ek aisi taqqat ban gaya
hai jis say puri duniya ko hilaya ja sakta hai. Chand seconds main he ek konay
sy dusray konay khabar pouchan jati hai. Ek aam insan koi bhe aisi cheez jis sy
loug uski taraf matawaju hotay ho social media pr daal ker mashoor hoskta hai.
Chahay wo achay main ya buray. Maazi main kuch saalon sy yahe dekhnay main aya
hai social media ki awaam jisko chahay hero bana day aur jisko chahy zero.
Yahan dono he bantay zara bhe waqt nahi lagta.. haal he main raato raato
mashoor honay wala chai wala to sab he ko yaad hoga. Islamabad main ek larki
nay uski picture social media pr dali aur wo is qadar kahin dino tak social
media ki zeenat bani rehi k usnay Pakistan sy bahir bhe apna jadu jaygaya. Isi
tarah coke studio main Rahat Fateh Ali khan kay sath Afreen Afreen gaana ganay
wali Momina Mustehan bhe social media pr chand dino main itna mashor hui k
unkay followers ki tadad hazaro sy lakho tak pouch gayae. Par jab unkay dusray
ganay ai to unhe tanqeed ka bhe nishana banaya gaya. Isi tarah social media par
ek aam si video dalnay par dhoom machanay walay sabzi wala bhe koi bhula nhe
sakta k jiski awaaz nay logon ko apni taraf keecha aur kuch he dino main wo tv
channels pr mehman e khasosi tha. Do jorwa behanian justin b ka gana ga kr is
qdar maqbol hui k unhe rozgaar bhe mil gaya. Social media pr kahin loug mashor
huye aur unhe faida hua par wahin kahin aisy bhe loug hain jo social media pr
mashor to huye pr unhe tanqeed ka nishana bana kr unka mazaq banaya gaya to
kahin bar unhe buray buray lafzon sy nawaza gaya un par kahin comics banai
gayae. Jin main Ramzaan main ana wala ek add tha jiska dialogue itna maqbol hua
k har shakhs ki zuban pr kahin dino tk wo chara tha "excuse me ap bhe?
Phr bhe wo usny is tarah k ads banana nh choray. Naa he us admi ko tanqeed ka
koi asar hua. Wahin dusri taraf Eye to eye par muqboliyat panay walay Tahir
shah ko bhe khub nishana banaya gaya. Phir bhe unhonay apna dusra son Angel
release kia to sarhad par India tak main uska asar dekha gaya. Logo ny apni
souch ka izhar kia jismain bharti artists nay us p video banai to kisi nay
Twitter pr Kashmir ko mazu banatay huye Pakistan k hawalay karnay ka kaha. Isi
tarh Ramzan main Qandeel baloch ki videos nay social media pr ek naye behas
chir di thi. Par unhony apni video banana jari rakhi aur Apny he Bhai k hatho
Qatil krdi gae. Social media wahin kahin Logo ko asan tareen maqboliyat ka
platform faharam karaha hai wahin kahin ek sawal bhe chor raha hai kia mehnat
kr k kuch Hasil karnay walo ko social media pr ana lazmi h. ? Jo loug kahin
saalon ki mehnat k baad bhe wo izzat wo shourat hasil nhe kar patay wo chand he
seconds main kuch bhe kar k maqbol hujai to asal mehnti insan aur uska talent
kahin chupp kr reh jata hai? Kiya khud ko manwanay k lie social media pr logo
ko dekhna zarori hai??? Kya hume apny
salahiyaton ko dikhane k liye social media ka sahara lena parega?
Bat sari ye h k ab iska hmari society me trend chal
gya h jo boht tezi k sath phel raha hai. Log time pass krne k liye social media
istemal krte hain sbne isko apni zindagi ka hissa bnalia hai. Har cheez k do
pehlun hote hain aik positive or dosra negative. Isi trha social media b boht sare faide hain lkn agr iska istemal had
sy ziada barh jaye tw wo humare liye nuqasandy hoskta hai aur horha hai.
Log khud ko mashor krne k liye social media ka sahara
lete hain qk unko koi idara chance nh deta r social media aisa platform hai
jahan kisi b chez ki koi pabandi nhi or log nayi r dilchasp chezen dekhne k
liye social media use krte hain phr usko like aur share b krte hain.
Social media aisa platform h jisky zariye log apas me
asani sy bat krskte hain aur informative cheez share kr k dosro tk pohncha skte
hain lekn yahan boht log iska ghlt faida uthate hain. Ajeeb pictures videos
share krte hain jisme hmari society per bura asar par rha hai r log achi chezon
k bjaye in sb chezo me involve horhy hain.Logo ko chahye k is platform ka sahi
istemal kren r is sy apna nuqsan krne k bajaye aise koi kam kre jis sy khud ko
r hmari society r society k logo ko faida pohnch ske or aise logo ko famous
hona chahye jinme waqi koi qabilyat or koi hunar ho.