trends

"Pray and Trust in Allah"

Sunday, 13 November 2016

Tagiuraat e zamana

Dost ny kha k phely zamany k log kitny achy hwa krty thy kitna adaab lihaz tha un main hr aik ki izzat krty thy air kisi baat ka bura b ni many thy .
Phr main ny is baat pr jb gour kia k aj k zamany k log itny muqtalif q hain tou is sawaal ka jawab yehi samjh aya k aj aksar kaam umar log hr baat pr apny sy bary logn pr tanqeed kr rhy hoty hain aur parents b unki han main han mila rhy hoty hain jb k agr phely k zamany main bachn ki majal ni hoti thi k woh apny sy bary logn ko jawab dain q k waldain bachn ko foran tok diya krty thy . Phely k zamany main waldain bachon k samny kisi ki burai krty hi ni thy us zamany k log sirf achaiyn ko dekha krty thy . Jesy k aik mashoor qoul hai k
Phely k log jb kisi main koi burai dekhty thy tou usko akely main nasihaat krty thy aur achai dekhty thythy tou  SB k samny bayaan krty thy. Lakin afsoos k ab is k ulaat hota hai jb tk log burai ko 10 logn k samny na bolain unhy sukoon ni milta aur achai pr SB aesy chup ho jaty hain jesy k sanap sohng gya ho ya phir aesy bury scandal bna diye jaty hain k us insan ki achai daab jaye aur yehi tou hmary mashry ky bigarh ka sabab bn gaya hai 
Phely k zamany main log insanon sy pyar krty thy cheezon sy ni logn k dilon main aik dosry k liye mohabat aur hamdardana jazbat hwa krty thy woh cheezon ko mil bat kr istemal kr liya krty thy aik dosry k ehsasat ki qadr krty thy woh log jb k jb log insanon sy ziyada cheezon sy pyaar krty hain isi liye tou aik dosry ki izzat krna ab kaam ho gya logn main adab lihaz ni rha jb k yeah baat tou phely hi hazrat Ali ny bta di thi k
Log aik dosry sy isi liye ab milna b pasand ni krty  hain  ya  dosrn ko hatl imkan nuqsan pohchany ki kosish krty hain is main waldain ka bhi kahin na kahin qusor hai k woh apny bachn ko bachpan sy hi ab baroun ki respect krna ni sikhaty phely agr bary bachn ki koi galat baat ya harkhat dekhty thy tou foran tok dia krty thy aur parents b bachon ko rok diya krty thy lakin ab mamla bilkul ulta ho gya hai k agr koi bara bachn ko kuch boly b tou waldain bolty hain k apny hamary bachy ko galat q kha ya toka q lakin jb baad main bachy bigrh jaty hain tou bolty hain k hmary bachy tou sunty hi ni balky ulta jawab dyty hain tou bachy jo dekhty hain wohi toh woh krty hain jb apko woh baroun k samny bolty dekhain gy tou woh b ap k samny bolain gy .
Phely zamany ky log bhi hamari tarhan hi thy woh b meti sy paida hwy thy aur hm bhe bas farq aj hmary rawiyn main agya hai isi liye tou ab k zamany aur pechly zamany k logn main itna farq agya hai . Main sochti hn k aj jb hasad main log aik dosry sy milty ni hain tou najany any waly zamany main log tou tanha zindagi guzarny main hi afiyaat smjha karain gy lakin  phir yeh sawal bhi paida hota hai k tanha zindagi guzry gi kesy ? 😒

No comments:

Post a Comment