trends

"Pray and Trust in Allah"

Wednesday, 5 October 2016

Brand Phobia




Aj sheher mein sb se barai designer ka launch tha lakin me late pohnchi or jb me pohnchi to sb kuch out of stock hochuka tha ub mein kl ki party mein kya pehnungi waha jo mojood hongai un sb ne ek se ek Brand pehne hngai per mein mein kya pehnungi wo jo pichli bar pehna tha wo dobara to nhn pehen sktii na sb kya bolengai or koi local brand ka dress b nhn pehn skti ahhh ub kye krun... Amooman kisi bari jagah jane se pehle hm sb ki yehii story hoti hai hum sb kahi n kahi yehii sb kuch souch rahai hotai hai. Kbhi soucha hai kb hm itnai Brand conscious hogye. hamari society mein Log baten to seerat ki krtai hain lakin tarjeeh surat ko hi detai hain.
Is daur se pehlai bhi buhat se daur guzrain hain jisme pichlai daur k logo ko dekhaii to un mein Fashion ka sense to tha lakin log brand ko nhn rotaii Thai. Isi lye ub k muqablai mein un logo ki pehnawa sada hua krtai thai tbhi wo sukun ki zindagi guzara krtai thai na kisi ko nechai ki jang thi na kisi se jalan thi.
Phir 21st century start hua jisme media ka iftetah hua jis ki hmari society mein sb se zyada dhakal andazi honi shru hui hmari hi media hai jis ne dusron k culture ko adopt krna start krdya hai jis se hmarai mashrai mein ek tarh ka fitnah paida hua hai jis mein diffrerent dramas hain or ub movies bhi jis mein zyada tar yehi dikhaya jata hai k educated families or heigher families har chez branded hi use  krtai hain jis se dekhne walai attract hotai hai or unhi jesa banna chahtai hain or yahi se Brand ka fitnha shru hua. 
isi ki waja class difference buhat had hochuka hai logo mein ek dusrai k lye khuloos khatam hochuka hai achai kaprai pehnna buri bat nhn lakin ub is mein deikhawa shamil hogya hai dikhawa itna aam hogya hai k log chotai dukano se lene k bajaye malls mein jana pasand krtai hain jaha unhai har chez branded mil jaye phir chahai wo kitni hi mehengi q na ho. logo mein ub ye souch achuki hai k jo cheez zyada mehengi hai wohi achi hogi phir chahai wo kharab hi q na ho. log itnai brand consious hogye hain k jab tk un k us matlooba cheez mein Brnad name embose nhn hua wa ho tab wo cheez lena pasand nhn krtain phir chahai wo kitni hi achi q naa ho.
No doubt Branded stuff kafi acha hota or designer stuff pehnna koi buri bat nhn hai lakin aj kal ye ek business ban chuka hai or ek aesa business jo daldal k manind hogya hai jisme log buri tarah phanstai hi jarahai hai..
Acha,Sada,Kush libas or saaf suthrai rehne ka hukum Islam mein hai or har kisi ka shoq b hota hai lakin ye shoq jab muqablai mein tabdeel hojata to yeh Brand phobia kehlata hai jo ek lailaj beemari bn jati hai...
ikhlaqiat,achi zehenyat,imandaari,khuloos,wafadaari or imaandaari hamari shaksyat ki akasi krta hai na ka yeh trendy designer kapray...agar kprai hmarai jism ko dhanptai hain to ye sb khosoosyat sb hmari shakhsyat ko khoobsorat bnatai hain...
kya hum ne kbhi soucha hai k hmein kya hogya hai? Q in sb chezon k pechai bhagnai lagain hain?

3 comments:

  1. There is an interesting article on brandchannel about overcoming personal brand phobia. 

    ReplyDelete
  2. amazing interesting and so true :)

    ReplyDelete