trends

"Pray and Trust in Allah"

Saturday, 22 October 2016

zindagi , loug aur ishq e haqiqi



Zindagi log ehsas ishq e majazi aur phr ishq e haqiqi
In sab ki baat karen to in sab ka buht gehra taluq hai apas main yah meri nazar main ek life cycle hai jo kabhi na kabhi har insan ki zindagi main hoti ha yani insan zarore is cyle sy guzarta hai yah woh cheezain hain jo insan ko zindagi ka maza aur dard dono he dayti hain chahay wo koi bhe kisi bhe rishtay ki surat main ho main nay zindagi ko buht qareeb sy jannay ki koshish ki aur humesha ek he zindagi ka maqsid jana jo main agay jaa ker bayan karogi.
agr hum sab say pehlay logo ki baat kare jo humari zindagi mai atay hain kia kabhi soucha hai loug humari zindagi main kyun atay hain jinhe ek din jana he hota hai ? Main nay soucha to mje ek jawab mila logo bhe us samander ki lehar ki tarah hotay hain jo kabhi taizi sy samander kay kiranay ati ha to kabhi dheeray say ati hai kabhi ouchi hoti hai to kabhi neechi kabhi shoor machati ati hai to kabhi khamoshi say ati hai par jis tarah ati hai usi tarah jati hai uski koi bhe noiyat ho wo usi noiyat sy wapis jati hai kabhi logo ko dooba dayti hai to kabhi loug samader k kiranay par tanha he kharay reh jatay hain bilkul isi tarah loug bhe humri zindagi main atay hain kabhi thoray waqt kay lie to kabhi taveeel arsay k lie lakin unhe jana lazmi hota hai wo waisy he jatay hai jaisa apki zindagi main ai thay par jatay waqt apko us samader kay kiranay par tanha chore jatay hai ya phr apnay sath lay jatay hain ya phr ap sari zindagi un logo ki yaadon main doobay he reh jatay hain yahan logo k sath jany ka maqsid jismani nhe balkay rooh ka hona hai zindagi aur logo ka apas mai bht gehra taluq hai kyun kay " ;zinda-dagi"; yani zinda logo kay sath guzarnay wala safar yah safar bazahir to bara lagta hai par hota chota hai is safar main chaltay chaltay koi thak sa jata hai to koi thakawat kay bawajud uff tak nhe karta zindagi kay baray main likhon to shayad puri zindagi likhtay likhtay guzar jai kyun kay zindagi main insan wohe sab kuch likhta hai jo wo waqt kay sath sath seekhta aur janta hai zindagi logo kay sath he chalti aur unhe kay sath he khatam hoti hai jab insan paida hota apni ankhain duniya main khulta  hai to loug uskay ird gird jama hotay hain aur jab zindagi kay safar main hota hai to tab bhe loug usk ird gird majod hoty hain pr humesha nhe rehtay aur kbhi kbhi majod hotay huway bhe unki majodgi na honay k barabar hoti hai jaisay unka wajud to ho par wo apk sath majod nhe ho jab apko unki zarorat ho to wo mau phir laytay hain jab ap unhe pukaray to kaan band karlayty hain jab ap ro rahay ho to wo nabina hujatay hain jab apko unka sath chaye ho to wo mazor ban jatay hain aur phir akhair main jab apki ankhain band hoti hain to wo loug apkay sath apkay us jism ko kandha dyny ajatay hain jismain jan nh hoti jinhony apna hath barha kar sath nhe nibhaya ap par ronay ajatay hain jinhonay apki zindagi main anso nhe pouchay apki baatain karnay lag jatay hain jinhonay apka dard nhe suna yani paida honay say mout tak loug apkay sath rehtay hain par kbhi apnay ban kr kbhi beganay ban kar pr ek na ek din in logo ko zindagi sy jana he parta hai koi bhe insan kisi ki zindagi main therta nh To zindagi aur logo ka apas main yahe ek gehra taluq hai kay lougo ki zindagi apas main taluq banatay tortay guzar jaati hai
Ab ajai ehsas jazbat yah wo cheezain hain jo sirf mehsos ki jaskti hain ya dekhai daynay wali nhe hain insan ashraf ul makhloqaat hai usmain yah khubi hai wo har ehsas ko mehsos karsakta hai us main jazbat pai jatay hain chahay wo mohabbat k ho ya phr nafart kay koi bhe insan agr kisi say dil ka rishta banata hai to wo pehlay usk dil main kisi k lie jazbat paida hotay hain aur usy ehsas hota hai phir wo us ehsas ko mehsos karta hai jab ja kar wo kisi sy dil ka rishta banata hai aur usk dil main kisi k lie jazbat paida hotay hain wo usy mohabbat ka naam daynay lagta hai jisy hum ishq e majazi kehtay hain

Ishq e majazi yani insani mohabbat ishq e majazi ki buht si tareefain hogi par meray nazdeek ishq e majazi insan ko dard iziyat zillat ruswai aur tanhai k siwa kuch bhe nhe dayta aur agr khushiyan dayta bhe hai to wo ek humsafar(husband/wife) k roop main par kabi wo humsafar bhe apko takleef dayta hai kher hum yahan life cycle ki baat karhay hain to jab insan ki zindagi main loug atay hain phr jazbat paida hotay jisay hum mohabbat ishq ka naam daytay hain to yahe wo point hota hai jahan insan akar zero ban jata hai wo ek nuqta he ban kr reh jata hai ishq e majazi yohi kisi say chaltay phirtay nhe hu jata chaltay phirnay wali dillagi ko main ishq nhe smjhti yah sirf kuch dino ki dillagi hoti hai jo kuch saal ya mahino kay sath ikhtimam pazeer hujati hai ishq to hota hai jo achay bhalay insan ko ujaar dayta hai insan par is tarah lagta hai jaisay lakri par deemak aur phr usy he khaa jata hai ishq insan ko kabhi kabhi itna bebas bana dayta hai k wo fakeeron ki tarah apni mohabbat sy bheek mangnay pr majbor hujata hai wo us say ek bar mohabbat nhe chahata wo us insan ko chahata hai jisy wo mohabbat karta hai yahi wo jaga stage hoti hai jab insan insan kay agay mohabbat ki bheek mangtay mangtay apny Rab ki bargaaha main hazir hujata hai wo thaak jata hai apni mohabbat k agay hath pehla kar uskay agay girgira kr uskay agay apny anso dekha kr par uski mohabbat us waqt nabina googi aur mazoor ban jati hai jo us par zara bhe reham nhe khaati insan kbhi kbhi ishq e mazaji main khud ko is qadar barbad kar layta hai k usko abad hotay hotay kahin saal lag jatay hain ya phr us banjaar zameen jaisay insan ko koi basanay ki koshish bhe kare to wo abad nhe ho pata wo khushaal nhe ban pata par sirf ek zaat ek zaat usy abad kardti hai agr wo khud say hona chahay to wo jab apny Rab kay agay haath pehalata hai apnay Rab kay agay girgarta hai usi kay agay apnay anso dikhata hai to isi doraan wo apny Rab ki mohabbat main shiddat k sath Girftaar hojata hai aur mazbot rishta bana layta hai jisay hum Isha e Haqiqi kehtay hain
Ishq e Haqiqi insan ko wo sukoon rahat dayti hai jiska insan kabi tasavur nhe karskta Ishq e Haqiqi say murad naa sirf Ibadat karna hai apny Rab ki Balkay Insanon say yani apny Rab kay bando sy bhe mohabbat karna hai ishq e Haqiqi ka har gaiz yah matlab nhe k insan Rab ki ibadat usay mohabbat karen balkay apny Rab Ki mohabbat main wo logo say mohabbat hamdardi madad kare unhe is bat ka ehsas dilai k wo tanha nhe unk sath unka Rab bhe hai aur usk Rab k banday bhe hain jo uska dard smjhtay dekhtay suntay aur mehsos kartay hai. KHALIQ TAK POUCHNAY KA RAASTA KHALIQ KI MAKHLOQ SY MOHABBAT HAI IMAM ZAIN UL ABAIDEEN A.S kuch log yah smjhtay hain k ishq e haqiqi duniya say mur phir lainay aur har waqt apny Rab ki ibadat ka naam hai nhe ishq e Haqiqi Apny Rab sy Rabtay main rehtay huwy uski Makhloq ki madad mohabbat aur hamdardi ka naam hai han duniya sy mau phir lainay ka matlab duniya ki aram o aasaih aur kisi say bhe koi tawakul koi bhe umeed nhe laganay ko kehtay hain par iska mtlb yah nh k ap logon say mohabbat karna chore dain mohabbt kare par apny Rab ki khatir par Deen o duniya ko sath lay kr chalna aur Apny Rab ki raza main Razi hona meri nazar main ishq e haqiqi kehlaata hai aur shayad yahe zindagi ka maqsid bhe hai jisko mai nay kahin bar dhoodnay ki smjhnay ki koshish ki par mujhay humesha yahe ek jawab mila kay Rab say Mohabbat duniya ko Ibadat kar k dekhai nh jati Rab say Mohabbat duniya ko Allah ki Makhloq say mohabbat kar kay khud ba khud nazar ajati hai phr insan apny Rab ki marzi main he usk pasandeda Logon say mohabbat kar k izzat mohabbat sukoo  aur khushi paata hai jisay main ishq e majazi nhe ishq e Haqiqi smjhti hon
Zindagi loug ishq e majazi phr akhair main ishq e haqiqi yahi life cyle hai
LOGON KA TUMSAY UMEEDON KA WABASTA HONA TMHARAH LIYE EK NAIMAAT HAI IMAM JAFFAR E SADIQ A.S
Agr apkay pas loug apny dard dukh aur is yaqeen say atay hain k ap unki madad kar k dard dukh bant kar unhe mohabbat day kr chand alfaz keh kr unhain khush aur talasi day saktay hain to yaqeen janay Allah ka ap par bht karam hai k usnay apko apny un bando main shumar kia jo uski Makhloq ki khidmat aur unsay mohabbat kare.
Khatam shud.



3 comments:

  1. Home | Casino | Jordan12-Retro
    The ultimate in online gambling, Jordan12 was built to meet the needs of get air jordan 18 retro racer blue the most air jordan 18 retro store discriminating and experienced sports air jordan 18 retro red suede to my site bettors. It 파이어폭스 https 우회 is a place real air jordan 18 retro to gamble in and out

    ReplyDelete