trends

"Pray and Trust in Allah"

Sunday, 30 October 2016

Dosti


w
Dosti wo khubsurat rishta hai jisko nibhanay k lie sachay dil k jazbaatt ki zarorat hoti hai dimagh ki nahi aur dost wo hota hai jo apni dosti nibhanay k sath sath apny dost ki majboriyon uski adat uski fitrat ko achi tarah smjhta ho ek zamana tha jab asal doston ki pehchan aram sy hujaiya karti thi koun apsay milnay arha hai koun ap ki kheriyat pouch raha hai koun apkay buray waqt main sath nibha raha hai koun apkay lie dusro sy larae kar raha hai usmain apko apni mohabbt bar bar batanay jatanayy ki zarorat nhe parti thi apko bar bar ehsas dilanay ki zarorat nhe hoti thi k ap usk lie kia ahmyt rakhtay hain apko bar bar usy tohfa dainay ki zarorat nh parti thi kay ap usy kitni mohabbat kartay hain apko usy ghr main bula kr dawat daynay ki zarorat nh hoti thi wo khud ajaya kartay thay wohe ginay chunay dost jinkay ghr walon say apk ghar walay bhe waqif hotay thay wohe sachay dost kehlatay thay.. jaisay jaisay waqt badala rasm o rewaj main bhe tabdeeli ai..har rishtay main tabdeeli mehsos honay lagi ab dost hazaron hain par koi ek aisa nh jisay apna kaha jai ab jigri dost bananay ka dur gaya kyun k ab koi aisa milta he nh.. shayad iski waja dekhawa ziada aur mohabbat kam hogae hai.. agr ap kisi ko mohabbat naa dekhai to usy lagta hai kay ap unsay mohabbat nh kartay unhe bar bar is bat ka yaqeen dilana k apki dosti mohabbat kitni sachi hai zarori hogaya hai kyun k ab social activities sirf social media tak mehdod ho kr reh gai hain agr ap sachay dost hain to apko is baat ko sabit krnay k lie apko social media pr is baat ko dekhana lazmi hai. Social media pr be-intiah mohabbat lutanay walay hazar dost asal zindagi main haal tak naa pouchnay walay hotay hain..  hum nay jigri dost banany k bajai hazaro ko chun lia hai hum kisi ek say rabta rakhnay k bajai sbsy rabta main rehna chahatay hain .achi baat hai sabsy rabta rakhna par har koi apka jigri dost neh ban sakta isi waja say aksar loug humain socialization karty to dekhai daytay hain par asal main wo tanha hotay hain.. apki social circle main aksar dost aisay hotay hain jo apki zindagi mai kia horha hai kyun horha hai kaisay horha hai to janay ki justaju rakhtay hain pr apsay baat kar k apka haal pouchnay tak ki zehmat nhe kartay..  humri naye nasal ko is baat ki smjhnay souchnay ki bht zarorat hai k akhair dost kehtay
Kisay hain aur dosti nibhai kaisay jati hai ? Ek zara si thokar par dosti torny k bajai ek dusray say maffi aur jorna kaisay jata hai apk asaal dost koun hotay hain unki kie pehchan hoti hai?
-sacha dost kbhi apki kamiyabi sy jalayga nahe balkay apki kamiyabi ki waja hoga
-sacha dost apki ankhon main anso nhe dekh sakta wo sab say lar jata hai par apkay sath wo roya zarore hoga
-sacha dost apki zarorat apki baat ko bina kehay smjh jaiga wo apko bina banai apka is tarah khayal rakhyga k apko mehsos nhe hog
Insan har stage pr naye naye dost banata hai jab bachpan ki baat ati hai to sabsy pehlay uskay dost uski school life main bantay hain jinhonay usk sth uska bachpan guzara hota hai jo uski har ek adat fitrat raawayi say waqif hotay hain bachpan main apna lunch box bas bachay usi kay sth share krna pasand kartay hain jinhe wo apna sachay dil sy dost mantay hain kyun k wo us waqt na-smjh par dil k sachay hotay hain school ki dosti 13 saal ki dosti hoti hai intihai mazbot jab school ko alvida kertay hai to ata hai college kay do saal shuru hotay hain jin main koi khas dost nh bantay college k baad university life shuru hoti hain ismain 4 saal sath guzarnay walay dost kabhi apki life line ban jatay to kbhi ap kisi ek dost main koi jigri dost talash krlaytay hain to kabhi apko koi aisa nhe milta jisko ap apna dost keh sakay.. kyun k is age main akar kafi had tak insan mature hujata hai.par yah 4 saal apko bht kuch sikha zarore daytay hain apko dost achay milay to khubusrat aur yadgaar bana daytay hain..
Tohfay dainay say mohabbat zarore bharti hai dilo main par mohabbat agr sirf tohfa dainay sy sabit hoti hai to yah dosti k rishtay main mohabbat nahi ek samjhota hai jisko loug mehagay say mehaga tohfa daykar kartay hain..

Pehlay kay zamana main haath say likhay chand alfaz bhe bht dil say aur ahmiyat rakhtay thay par ab alfaz ki ab koi qadar naa rahi kyun k wo har ek dusray dost k lie aada horhay hotay hain.. insan apnay jazbat ka izhar karna bhulata jaraha hai wo zubani to dost kehta hai par uska amal wo nhe hota. Iskay elwa insan kay kahin aisay dost hotay hain jo uski zindagi main atay hain van main to koi tuition/ coachings to koi gali mehalon main bantay hain.. kabhi kabhi insan in doston main apna sacha dost bhe talash karlyta hai..woh bhe kia khubsurat din thay jab gali mehalon parks main dost atay aur mukhtalif qism kay khel kehla kartay.. sath hansi khushi cycle chalaya kartay to kabi kabi chutiyon main raat raat bhar racket khela krtay aur larae kartay to samnay kartay kisi k lie dil main nafrat nh rakhtay...par ab un kheelon ka dur chala gaya ab sab kay hath mai mobile aur dosti ek like chand comments aur pictures tak mehdod hogae shayad ab anay wali nasalain 1990's ka wo maza ab nh lay saktin.

Dosti aur Judai 
Jab sachi dosti ka koi rishta tota hai to insan ko ander sy tor kr khokla bana dayta hai chahy usmain qasor kisi aur ka ho par insan sari umer khud ko khusta rehta hai woh us dost ko wapis bhe pana chahay to aksar woh paa to layta hai par wo rishta phr kabhi pehlay jaisa nhe rehta jo hua karta tha. Dil main ek bar halki si khalish par jai to phr wo sari zindagi rehti hai insan bas un khubsurat yaado k zariyae jee sakta hai par un yaadon ko phr say nahe jee sakta.
Imam Ali a.s ka Qoul hai  "Bhai sonay ki tarah hota hai agr usmain darar par jai usy pigla kr wapis waisa banaya ja sakta hai par dost heeray ki tarah hota hai ek bar daraar par jai to wapis waisa nhe banta."
Yah baat haqiqat hai par choti choti baaton par insan ka kisi rishtay ko tor daina aur maffi naa mangna bhe galat hai. Insan agr apni aana kay sath chalna chahat hai to wo rishto ko sath lay kr kabhi nh chal sakta usmain jhukao lazmi hai usmain ek dusray ki galation par maaf karna aur maffi manga lazmi hai.
""Jhukta wohe hai jismain Jaan ho Akarna to murdon ki pehchan hai"
Imam Ali a.s

insan ko kabhi kisi rishtay ko khud sy azmana nh chahye kyun k aksar loug azmatay azmatay usy khoo daytay hain waqt khud he rishton ko azmata hai par usi waqt insan ko apnay aur parae ki asal pehchan karwa dayta hai.. mery nazariya main insan jaisay jaisay social networks par active hota ja raha hai wo asal rishto ki qadar ahmyt aur pehchan khoota chala jaraha hai mohabbat khushiyan gham bantay say bharti hain ek dusray ka dard smjhnay unsay baat kr k usay smjhnay say bharti hain.. naa kay un tohfo say jo qeemat main to ziada ho par un main mohabbat majood naa ho.. !
"-hoskta hai tmhra dost tmsay jhut bolay jo uski majbori ho  par tm us wafa karnay walay dost ko khoo baitho."
IMAM Ali
"Aksar wafa karnay walay dost ghareeb hotay hain" Imam Ali
Kabhi kabhi itna majbor hota hai kay wo nachahatay hui bhe apny doston say jhut keh dayta hai kyun kay usky peechay uski koi waja ya majbori hoti hai par jab uskinsachai samnay ati hai to loug usko jhoota keh kr chorr dayta hai  bina baat janay uski majbori janay..wo wafa karna chahata hai par wafa nah kar pata..aur kabhi kabhi humra dost kisi majbori ki waja say apni izzat e nafs  ko rakhtay hui khamosh rehta hai kuch nhe kehta.. humnay aksar dekha hai kay aj kal kay door main dost get together kartay hain par kuch loug nh aa patay unki lahin majbori hoti hain.. kahin bar unkay maali halaat behtar nhe hotay par hum unki majbori bina janay unsay naraz hojatay hain.. yah janay bina k unkay ghar main kia maslay chal rahay hain wo kis dur dard sy guzar rahay hain hum unsay apna rishta tor dytay hain.

- Agr tmhri kamzori dosti hai to tm duniya k sabsy taqqatwar insan ho
Imam Ali a.s
Insan ko kbhi dosti is qadar tor dayti hai k waqt kay sth usy mazbot insan bana dayti hai to kabhi sacha dost ek kamzor insan k peechay us mazbot reedhr ki hadi ki tarah hota hai jo uskay kharay rehnay ki waja hota hai. Jiski usy br br zarorat hoti hai jo usy hosla dayta hai jo uski himat ki wja hota hain aisay dost bht kam aur qismat walo ko miltay hain agr tmhe aisa koi milay to ussy thaam laina aur kabhi khud sy alag naa honay daina...!

3 comments:

  1. This article that follow aren’t all straight up friendship. They weave through related topics like community, relationship,trust, love etc. However article was good as well as too much emotional wording included.

    ReplyDelete
  2. A good frnd accepts who u r.. but also helps u to become who u should be :)

    ReplyDelete