trends

"Pray and Trust in Allah"

Sunday, 23 October 2016

Tarbiyat aur maa

Sania ki shaadi ko abhi chand hi hafty howay thy aj susral main shaadi k baad pheli bar dawaat pr saas ki behan aur ghar waly aye thy sania ny jb chaye mehmamon ko pyesh ki tou cup ganda ho rha tha woh cup saaf krna bhool gai thi . Saas ki Behan ny kha k tmhari baho ki maa ny tarbiyat theek sy ni ki ky isy tameez sy chaye bhi pyesh krna ni ati.
Yeh woh alfaaz hain Jo larkiyon ko aksar sunnhy ko milty hain ( larkiyon ko is liye kha q ky hamary mashry main log  larkon ki galat baat ya harkat pr kehty hain k larky tou ghar sy bahir hi ziyada tar rehty hain jb k larkiyan maa k saath ziyada rehti hain) Lakin afsoos ky maa ki tarbiyat ky tanny bhi ziyada tar khawateen hi dy rhi hoti hain jo k khud bhi kisi ki maa ya beiti hoti hain.
Aur agar jin bachonn ki maayain bachpan main hi is duniya sy chali jati hain tou log unko bhi bolty hain .
Asma ki walida ka inteqal usky bachpan main hi hogya tha us sy chotta aik bhai aur behan hai. Asma ab university main parhti aur ghar kbhi kisi kaam ki wajah sy dair sy ati tou mohally ki auntiyan baatain banatin k maa ni hai na tou koi tarbiyat krny aur rookhny tookny wala ni hai.Logn ko yeh ni pta hota ky unky parhoosi kis haal main rehty hain khana khaya bhi ya khaali pait hi soh gaye . Lakin yeh zaroor pta hota hai ky unky parhoos main rehny wali maa, betiyan, behanain ya bahoain kis waqt ghar ati hain.
Maa qudrat ka woh anmol aur haseen tohfa hai ky agar na ho tou insan ko bhaari duniya main bhi akelapan mehsoos hota hai. Maa ky liye agar likhna bhi chahon tou shayad zindagi khatam ho jaye lakin alfaaz kbhi khatam na hon yeh baat koi un sy pouchay ky jin ki maa bachpan main hi duniya sy chali  jati hain  un bachon ky liye kitna mushkil hota hai apni zindagi ko sahi tashkeel daiyny main.  Bari betiyon k liye tou aur bhi mushkil hota hai k woh waqt sy phely hi bari ho jati hain . Maa ky bagair yeh duniya aik khali maidan hai k jahn sb hoty hain lakin phir bhi duniya khali Laghti hai . Maa na ho tou ghar ghar ni lgta . Maa qudrat ka woh wahid tohfa hai k jis ki jaga koi aur ni ly skhta.
 Jin logn ki maayain zinda hoti hain unki zindagi main chahye jitni bhi mushkilat aiyn lakin maa ki duaoun aur maa sy baat kr lyny sy woh haal ho jati hain .
Afsoos k log yeh ni dekhty ky maa kitni mehnat aur pyaar sy apny bachon ki achi parwarish krti hai apni zindagi apny bachon ky naam krdyti hai . 
Lakin agr bacha koi galat harkat kary tou log ba-asani bol dyty hain k maa ny tarbiyat achi ni ki . Koi bhi maa apny bachon ki galat tarbiyat ni krti aur na hi krna chahti hai. Hr maa ki yeh kosish hoti hai k uski aulad achi sy achi nikly.
Sahi kha jata hai ky yeh duniya kisi ko sukoon sy rehny ni dyti agar maa zinda hai tou uski tarbiyat pr log ungliyan uthaty hain aur na ho tou pechy baatain bnaty hain.
Koi bhi insane is duniya main perfect bilkul bhe ni hota ky us sy kbhi koi galti na ho agar insan kbhi koi galti krta hi ni tou woh insan ni farishta hota lakin yeh yeh duniya ka asan tareen kaam hai ky dosry pr ungli utha li jaye. Insan jb dosry ki taraf ungli uthata hai tou yeh bhool jata hai k uski taraf bhi chaar (4) ungliyan wapis mor rhi hain. Log apny girhyban main ni dekhty balky dosry ki zindagi main jhankhty rehty hain . Agr yehi log aik bar  bolny sy phely yeh souch lain ky AGR kisi ny kal ko unki kisi galat harkat ya baat pr unki maa ki tarbiyat pr ungli utha li tou... shayad phr dosron ki tarbiyat pr ungli na uthain.
Agr koi bacha mashoor doctor, engineer ya koi bhe acha kaam kry tou log us waqt ni bolty k maa ny kitni achi  tarbiyat ki hai balky dosrn sy yeh bol rhy hoty hain ky hamara us sy yeh rishta yeh taluq hai lakin AGR wohi bacha koi galat harkat ya kaam kry tou log foran maa ki tarbiyat pr bolny lagty hain.
Mera inhi logn sy  yeh sawal hai ky kia apki maa ny  yehi tarbiyat ki hai k ap dosrn ki zindagi main jhankty rahyn un pr ungliyan uthaty rahyn aur unka chain sukoon barbad kardain?

5 comments:

  1. Logn ko yeh ni pta hota ky unky parhoosi kis haal main rehty hain khana khaya bhi ya khaali pait hi soh gaye . Lakin yeh zaroor pta hota hai ky unky parhoos main rehny wali maa, betiyan, behanain ya bahoain kis waqt ghar ati hain.
    this line..... :) gud hai..

    ReplyDelete
  2. Our mother played a great role in our life.. A mother is she who can take the place of all other but whose place no one can else take :)

    ReplyDelete