Karachi jisko rooshniyon ka sheher
kaha jata hai jo k Pakistan ka sbsy bara sheher hai jisko guzishta kuch saalo
sy target kiya jarha hai jiski waja sy Karachi ki halat both kharab hogai hai. Har
jaga cheena jhapti aam hogai hai or dekhte haal b Karachi me gandagi phelti
jarhi hai aur safai kayahan koi intezam nh hai jese k sarak k har koone pe
kachre ka dher nazar ata hai jisky bais mukhtalif qism ki bemariyan bhi phel
rhi hain. Lekn in sb masail ka yahan koi
action nh lia jata aur in sb masail ka shikar sirf awam hoti hai. Yahan pichle
kuch saalome itne haadsat hochuke hain k ab Karachi ka naam sun kr logo kdilo
me khof taari hojata hai qk yahan k halaat ka koi bhrosa nh hota k kb kiya
hojaye.
Agar hum Pakistan k baqi shehron per
nazar dalen tou wo Karachi k muqable both achy hain qk wahan aik hi qoum k log hain
or aik hi political party hai jo apny sheher ko har trha se faida pohncha rhi
hai. Wahan qanoon both sakht hain jissy follow krna har shehri ki zimedari hai
lekin Karachi me qaide qanoon tou hai mgr uspe koi amal nhi krta. Aur sbsy bari
bat yahan har trha ki qoum pai jati hain jo apny sheher or gaun sy kamane k lye
ate hain or is waja sy yahan ki abaadi barhti jarhi hai or hmare samaji masail
hal hone k bajaye barh rhy hain or inky zariye hi munshiyat(drugs) aam hogye
hain. Karachi me mukhtalif tanzeem mojud hain jinka apas me muqabla chalta
rehta hai aur agar koi tanzaam shehr k lye koi kam krwati hai tou dosri tanzeem
us kam ko bigar krdeti hai is trha shehr me aik qism ka tanaza (conflict) phel
jata hai aur wo log shehr k halaat sudharne k bajaye apas me larte hain aur
tmam masail pe ksi iki tawaja nh hoti. Aur dosre shehriyo ko yahan akarsirf
kamane sy mtlb hota haiunko yahan k bigarte huye halat sy koi lagao nhi hota
unko shehr ki safai suthrai me koi dilchaspi nhi hoti ulta wo log gandagi me
izafa krrhy hote hain jese k bus rikshaw or chinchi chalane wale log Pan,
chalia, gutka khate hain aur jahan dil kare thook dete hain aur ye nasha sirf admin
hi blky aurten b krti hain. Baqi afghani kachra walo ka jahan marzi aye kisi b
jaga ko kachra kundi bna dete hain. Yahan safai ka koi intezam hi nhi hai.
Government ko chahye karachi ki tamam tanzeemo
ko khtm kr k isko pur aman shehr bnaya jaye aur yahan k tmam masail ko jald hi hal
kiya jaye or dosre shehriyon ka bhi farz hai k yahan gandagi krne kbjaye isko
apna shehr smjhkr safai ka khaas khyl rkhen. Chonky SAFAI NIFS EMAN HAI tou Jab
government aur shehri mil kr in sari baton ka
khyl rkhengy tou Karachi jald sy jald aik saaf suthra or purr aman shehr
ban jayega.
Thats a good job, But have you observed that why all this happening? Because our Police is not implementing the laws our government has made for the citizens and government is also not interested in implementing either. If police start implementing the laws from today our sense will start working but I'm not sure it'll be
ReplyDeleteYes it is the key point to maintain the bad condition of our city.. but unfortunatly its very diffficult that our police realize their duty nd responsibilies ...
Delete